Ab K Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwabon Mein Milein

 

Poet Ahmad Faraz 

 

Ab K Hum Bichre To Shayad,

Kabhi Khwabon Mein Milein,

Jis Tarah Sookhe Howay Phool Kitabon Mein Milein,

Dhoond Ujre Howay Logon Mein,

Wafa K Moti Ye Khazane Tujhe,

Mumkin Hai Kharabon Mein Milain,

Gham-e-Dunia Bhi Gham-e-Yar Mein Shamil Kar Lo,

Nasha Barhta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milain,

Too KHUDA Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa,

Dono Insan Hain To Kion Hijabon Mein Milain?

Aaj Hum Dar Pe Khainche Gaye Jin Baton Par,

Kia Ajab Kal Wo Zamane Ko Nasabon Mein Milain,

Ab Na Wo Main Hon Na Too Hai Na Wo Mazi Hai,

FARAZ

Jaise Do Shakhs Tamana K Sarabon Mein Milain.....! 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha