Ronaq-E-Bazm-E-Tarb Yad Na Kar Zeest K Gham Ka

 

Poet Wasif Ali Wasif 

 

Ronaq-E-Bazm-E-Tarb Yad Na Kar,

Zeest K Gham Ka Sabab Yad Na Kar,

Dekh Andaz-E-Atta Bhi Us Ka,

Apna Andaz-E-Talab Yad Na Kar,!

Kis Tarha Aai Sahar Ghor Se Dekh,

Kis Tarha Guzri Hai Shab Yad Na Kar,

Us Ka Paigham Rahe Pesh-E-Nazar,

Husn Ki Junbash-E-Lab Yad Na Kar,

Dekh Kirdar Ki Janib WASIF,

Rutba-O-Jaah-O-Nasab Yad Na Kar...............!

 

Page 195 (S) 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha