Gar Nahi Jashn-E-Wafa Jashn-E-Gham-E-Jaan Hona

 

 

Poetess Noshi Gilani 

 

Gar Nahi Jashn-E-Wafa Jashn-E-Gham-E-Jaan Hona,

Hum Ne Seekha Hi Kahan Be Sar-O-Samaan Hona,

Ye Ajab Kaifiat-E-Ajaz-O-Riya Kaari Hai,

Phir Usi Halqa-E-Yaraan Pe Mehrbaan Hona,

Ab To Hathon Mein Koi Faisla-E-Ishq Nahi,

Kaisi Tasleem-O-Raza Kaisa Gurezaan Hona,

Raah Mein Sang-E-Mulamat Hai To Hairat Kia Hai,

Aap K Shehr Mein Kia In Se Pareshaan Hona,

Roshni Ki Koi Tasveer Saja Deta Hai,

Aik Azad Parinde Ka Ghazal Khawaan Hona............!

 

Page 29,30

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo