Main Ourat Zaat Thehri Mujhe Masjid Nahi Jaaiz

 

Poet: Ayaz Khan 

Type By 

*.__Ayaz Khan__.*

 

Main Ourat Zaat Thehri Mujhe Masjid Nahi Jaaiz,

Mujhe Mila Nahi Wo Muqam Jis Pe Huwy Mard Faaiz,

Main Aaj Bhi Qaid Hon, Muqadar Meri Tanhaiyaan,

Izzat Lutti Hy Mairi Milti Hain Mujhe Ruswaiyaan,

Mard Zaat Ne Bana Rakha Hai Mujhe Khilona,

Kabhi Pair Ki Juti Kabhi Bestar Ka Bechona,

Sadiyon Se Mairi Izzat Hoti Rahi Taar Taar,

Main Roti Rahi Par Suni Na Meri Kisi Ne Pukaar,

Kabhi Rajaoon Ki Rahi Kaneez Kabhi Mandaroon Ki Dasi,

Mere Dil Main Rahein Hasratein Aor Mairi Rooh Rahi Piyaasi,

Kab Mile Gi Mujhe Rasam-E-Riwaaj Se Aazaadi?

Ya Daolat Ke Liye Hoti Rahe Gi Mairi QURAN Se Shaadi?

Main Ourat Zaat Hon Aor Beqasoor Hon,

Main Ourat Zaat Hon Shayat Is Liye Majboor Hon...............!!!

 

*********************NOMI*********************

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai