Mohabbat Ki Aseeri Se Rehai Mangte Rehna

 

 

Poetess Noshi Gilani 

 

Mohabbat Ki Aseeri Se Rehai Mangte Rehna,

Bahut Aasan Nahi Hota Judai Mangte Rehna,

Zara Sa Ishq Kar Lena Zara Si Aankh Bhar Lena,

Phir Us K Bab Mein Sari Khudai Mangte Rehna,

Kabhi Mehroom Honton Par Dua Ka Harf Rakh Dena,

Kabhi Wehshat Mein Us Ki Narsai Mangte Rehna,

Wafaon K Tasalsul Se Mohabbat Rooth Jati Hai,

Kahani Mein Zara Si Bewafai Mangte Rehna,

Ajab Hai Wehshat-E-Jaan Bhi K Aadat Ho Gai Dil Ki,

Sakoot-E-Sham-E-Gham Se Hum Nawai Mangte Rehna,

Kabhi Bache Ka Nanhe Hath Par Tittli K Par Rakhna,

Kabhi Phir Us K Rangon Se Rehai Mangte Rehna..............!

 

Page 19,20 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo