Nat Likhne Ka Agar Mujh Ko Qareena Aa Jaye Jitna Dushwar Ho Jeena

 

Poetess Noshi Gilani 

 

=======

NAAT

=======

 

Naat Likhne Ka Agar Mujh Ko Qareena Aa Jaye,

Jitna Dushwar Ho Jeena Mujhe Jeena Aa Jaye,

Us Safar Mein Kabhi Thakte Nahi Dil Aur Paon,

Jis Safar Mein Kahein Ahsas-E-Madeena Aa Jaye,

Doobne Walo Kabhi Dil Se Pukaro To Unhain,

Khud Bhanwar Le K Kinare Pe Safeena Aa Jaye,

Aisi Rehmat Ki Ghari Bhi Koi Aa Sakti Hai,

Main Madeene Mein Rahon Mujh Mein Madina Aa Jaye,

Mujh Gunah Gaar Bhikaran Ki Yehi Janat Hai,

Un (S.A.W.W) Ki Nisbat Ka Mere Hath Ka Khazeena Aa Jaye,

Ho To Sakta Hai Agar Aap (S.A.W.W) Karam Farma Dein,

Meri Aankhon Se Mere Dil Mein Madeena Aa Jaye.............!

Book Pehla Lafz Mohabbat Likha

 

Page 12 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo