Sabhi Jazbe Badalte Ja Rahe Hain;


 

 Poetess Noshi Gilani 

 

Sabhi Jazbe Badalte Ja Rahe Hain,

K Jaise Khawab Marte Ja Rahe Hain,

Koi Din K Liye Dil K Makeen Ko,

Nazar Andaz Karte Ja Rahe Hain,

Jo Dil Ka Haal Hai Dil Janta Hai,

Ba Zahir To Sambhalte Ja Rahe Hain,

Chale To Hain Tumhare Shehr Se Hum,

Kaf-E-Afsos Milte Ja Rahe Hain,

Kabhi Jin Mein Gharoor-E-Tazgi Tha,

Wo Khuddo Khal Dhalte Ja Rahe Hain......................!

 

Page 23 To 24 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai