Too Bhi Kuch Pareshan Hai Too Bhi Sochti Ho Gi Tere Naam Ki Shuhrat

 

 

Poet Sahir Ludhianvi 

 

Too Bhi Kuch Pareshan Hai,

Too Bhi Sochti Ho Gi,

Tere Naam Ki Shuhrat,

Tere Kaam Kia Aai,

Main Bhi Kuch Pasheman Hon,

Main Bhi Ghor Karta Hon,

Mere Kaam Ki Azmat,

Mere Kaam Kia Kaam Aai,

Tere Khawab Bhi Soone,

Mere Khawab Bhi Soone,

Teri Meri Shuhrat Se,

Tere Mere Gham Doone,

Too Bhi Ek Sulagta Bun,

Main Bhi Ek Sulagta Bun,

Teri Qabar Tera Fann,

Meri Qabar Mera Fann,

Ab Tujhe Main Kia Don Ga,

Ab Mujhe Too Kia De Gi,

Teri Meri Ghaflat Ko,

Zindagi Saza De Gi,

Too Bhi Kuch Pareshan Hai,

Too Bhi Sochti Ho Gi,

Tere Naam Ki Shuhrat,

Tere Kaam Kia Aai,

Main Bhi Kuch Pasheman Hon,

Main Bhi Ghor Karta Hon,

Mere Kaam Ki Azmat,

Mere Kaam Kia Aai...........!

 

Page 203,204 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo