Ho Jaaye Gi Jab Tum Se Shanasaayi Zara Aur Barrh Jaye Gi Shaayed Meri Tanhaayi Zara Aur


Ho Jaaye Gi Jab Tum Se Shanasaayi Zara Aur

Barrh Jaye Gi Shaayed Meri Tanhaayi Zara Aur


Kyun Khul Gae Logon Pe Meri Zaat Ke Asraar

Ay Kaash Keh Hoti Meri Gehraayi Zara Aur


Phir Haath Pe Zakhmon Ke Nishaan Gin Na sako Ge

Ye Uljhii Hoi Dor Jo Suljhaayi Zara Aur


Tardeed To Kar Sakta Tha Paile Gi Magar Aur

Iss Taur Bhi Hogi Teri Ruswaayi Zara aur


Kyun Tark-E-Talluq Bhi Kia Lout Bhi Aaya

Acha Tha Keh Hota Jo Wo Harjaayi Zara Aur


Hai Deep Teri Yaad Ka Roshan Abhi Dil Mein

Ye Khauf Hai Lekin Jo Hawa Aai Zara Aur


Larrna Wahin Dushman Se Jahan Ghayr Sako Tum

Jeeto Ge Tabhi Hogi Jo Paspaayi Zara Aur


Barrh Jaein Ge Kuch Aur Lahoo Bechne Wale

Ho Jay Agar Sheher Mein Mehengaayi Zara Aur


Ik Dobti Dharrkan Ki Sada Log Na Sun Lein

Kuch Der Ko Bajne Do Ye Shahnaayi Zara Aur.....!

 

**********NOMI**********

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo