Sallam Likhta Hai Shaair Tumhare Hussan K Naam, Bikhar Gia Jo Kabhi Rang-E-Pairhan Sar-E-Baam


Poet Faiz Ahmad Faiz


Type

By

*_FAROOQI.54_*

Sallam Likhta Hai Shaair Tumhare Hussan K Naam,

Bikhar Gia Jo Kabhi Rang-E-Pairhan Sar-E-Baam,

Nikhar Gai Hai Kabhi Subha Do Pehar Kabhi Sham,

Kahein Jo Qaamat-E-Zaiba Pe Saj Gai Hai Qaba,

Chaman Mein Saro-O-Sanobar Sanwar Gaye Hain Tamam,

Bani Basaat-E-Ghazal Jab Dubo Liye Dil Ne,

Tumhare Saya-E-Rukhsar-O-Labb Mein Saghar-O-Jaam,

Sallam Likhta Hai Shaair Tumhare Hussan K Naam,

Tumhare Hath Pe Hai Tabish-E-Hina Jab Tak,

Jahan Mein Baqi Hai Dildaari-E-Uroos Sakhan,

Tumhara Hussan Jawan Hai To Mehrban Hai Falak,

Tumhara Dam Hai To Damsaz Hai Hawa-E-Watan,

Agricha Tang Hain Auqat Sakhat Hain Aalam,

Tumhari Yaad Se Shaireen Hai Talkhi-E-Ayaam,

Sallam Likhta Hai Shaair Tumhare Hussan K Naam..............*

.


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai