Darya-E-Ashk Chashm Se Jis Aan Beh Gaya Sun Leejiyo Keh Arsh Ka Aiwaan Beh Gaya

 

Poet:Muhammad Ibrahim Zauq

Type By

*.__NOMI__.*

Darya-E-Ashk Chashm Se Jis Aan  Beh Gaya

Sun Leejiyo Keh Arsh Ka Aiwaan Beh Gaya

Zaahid Sharaab Peene Se Kaafir Hoa Main Kyon

Kya Der'rh Chulo Paani Main Emaan Beh Gaya

Yun Roye Phoot Phoot Ke Paaon Ke Aable

Naala Sa Ek Soo-E-Bayabaan Beh Gaya

Kashti Sawaar-E-Umar Hoon Bahr-E-Fanaa Mein Main

Jis Dam Bahaa Ke Le Gaya Toofaan Beh Gaya

Tha "Zauq" Pehle Dilli Main Punjaab Ka Sa Husn

Par Ab Wo Paani Kehte Hain Multan Beh Gaya.........!

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha