Khud Se Reshte Rahe Kahan Un Ke, Gham To Jane Thay Ra'egaan Un Ke


Poet:Jaun Elia

Type By

*._.Murtaza._.*

Khud Se Reshte Rahe Kahan Un Ke,

Gham To Jane Thay Ra'egaan Un Ke,

Massat Un Ko Gumaan Rehne De,

Khana Barbaad Hain Gumaan Un Ke,

Yaar Sukh Neend Ho Naseeb Un Ko,

Dukh Ye Hai Dukh Hain Be-Eemaan Un Ke,

Kitni Sar Sabz Thi Zameen Un Ki,

Kitne Neele Thay Aasmaan Un Ke,

Noha Khuwaani Hai Kya Zaroor Unhain,

Un Ke Naghme Hain Noha Khuwaan Un Ke,

Book Name

GUMAAN

Page No 31

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai