Mere Saathi, Meri Ye Rooh Mere Jisam Se Parwaaz Kar Jaaye

 

Poetess:Noshi Gilani

Type By

*._.Murtaza._.*

Aakhiri Khuwahish

Mere Saathi,

Meri Ye Rooh Mere Jisam Se Parwaaz Kar Jaaye,

To Lout Aana,

Mere Be-Khuwaab Raaton Ke Azaaboon Par,

Sisakte Shehar Main Tum Bhi,

Zara Si Dair Ko Rukna,

Mere Be-Noor Hoonton Ki Dua'oon Par,

Tum Apni Sard Peshani Ka Pathar Rakh Ke Ro Daina,

Bas Itni Baat Keh Daina,

Mujhe Tum Se Muhabbat Hai.......!

Book Name

Udass Hone Ke Din Nahin Hain

Page No 133

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai