Dunia Ko Tou Halaat Se Umeed Bari Thi, Par Chahne Walon Ko Judai Ki Pari Thi,

Poetess: Parveen Shakir

Type By

*._Ayaz_Khan_.*

Dunia Ko Tou Halaat Se Umeed Bari Thi,

Par Chahne Walon Ko Judai Ki Pari Thi,

Kis Jan-E-Gulstaan Se Ye Milne Ki Ghari Thi,

Khushboo Mein Nahai Hoi Ek Sham Khari Thi,

Main Us Se Mili Thi Ke Khud Apne Se Mili Thi..?

Woh Jese Meri Zaat Ki Gum Gashta Kari Thi,

Youn Dekhna Us Ko Ke Koi Aur Na Dekhe,

Inaam To Acha Tha Magar Shart Kari Thi,

Kam Maya Tou Hum The Magar Ehsas Nahi Tha,

Aamd Teri Is Ghar Ke Muqdar Se Bari Thi,

Main Dhaal Liye Simat Adoo Dekh Rahi Thi,

Palti Tou Meri Pushat Pe Talwaar Gari Thi...!

Book: Khud Kalami

Page No, 145,146


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai