Jo Bichrra Tha Wo Piyaar Mil Gaya Hai, Khuda Rakhe Dobara Mil Gaya Hai,

Poet:Naseer-O-Deen Naseer

Type By

*._.Murtaza._.*

Jo Bichrra Tha Wo Piyaar Mil Gaya Hai,

Khuda Rakhe Dobara Mil Gaya Hai,

Un Aankhon Ka Ishara Mil Gaya Hai,

Mere Dil Ko Sahara Mil Gaya Hai,

Khuda Hai Na Khuda Behar-E-Wafa Main,

Safeene Ko Kinaara Mil Gaya Hai,

Ho'ee Pori Mere Dil Ki Tamana,

Mujhe Bhi Dar Tumhaara Hil Gaya Hai,

Larazti Hai Shab-E-Gham Ki Siyaahi,

Meri Aankhon Ko Taara Mil Gaya Hai,

Sulag Utha Hai Kiya Kiya Dagh-E-Hasrat,

Mere Dil Ko Sahaara Mil Gaya Hai,

Chhupa Tha Gaisoo-E-Purkham Mein Un Ke,

Dil-E-Muztar Hamaara Mil Gaya Hai,

NASEER Ik Rooz Woh Bhi Aa Milenge,

Mera Unka Sitaara Mil Gaya Hai............!

Book

Dast-E-Nazar

Page 6


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo