Nishani Koi To Ab K Safar Ki Ghar Lana, Takaan Pao,on Ki Aur Titliyoun K Par Lana

Poetess Noshi Gilani

Type By 

Uroosa Emaan

Nishani Koi To Ab K Safar Ki Ghar Lana,

Takaan Pao,on Ki Aur Titliyoun K Par Lana,

Main Likh Rahi Hoon Kahani Teri Rafaaqat Ki,

Jo Ho Sake To Koi Huraf Moetbar Lana,

Yahi Na Ho Keh Muslsal Wafa Thaka Daale,

Mohabbatoon Mein Naya Pan Talaash Kar Lana,

Jo Koh-E-Qaaf Chale Ho To Chaand Chehroon Ka,

Majsima Koi Achha Taraash Kar Lana,

Safar K Shoq Mein Chal To Parre Ho Tum Ghar Se,

Dukhoon Ki Gard Se Daman Na Apna Bhar Lana,

Ajab Faza Hai Jahaan Sans Le Rahe Hain Hum,

Gharoon Ko Lot K Aana To Chasham-E-Tar Lana......!
Book 

 Mohabbatein Jab Shumar Karna


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo