Poetess Parveen Shakir
Type By
Uroosa Emaan
Poora Dukh Aur Aadha Chaand,
Hijar Ki Shab Aur Aisa Chaand,
Din Mein Wehshat Behal Gai Thi,
Raat Hui Aur Nikala Chaand,
Kis Maqtal Se Guzra Hoga ?
Itna Sehma Sehma Chaand,
Yaadoon Ki Aabaad Gali Mein,
Ghoom Raha Hai Tanha Chaand,
Meri Karwat Par Jaag Uthay,
Neend Ka Kitna Kacha Chaand,
Mere Munh Ko Kis Herat Se,
Dekh Raha Hai Bhola Chaand,
Itne Ghane Baadal K Peeche,
Kitna Tanha Hoga Chaand,
Aansoo Roke Noor Nahaaye,
Dil Dariya Tan Sehra Chaand,
Itne Roshan Chehre Par Bhi,
Sooraj Ka Hai Saya Chaand,
Jab Pani Mein Chehra Dekha,
Toone Kis Ko Socha Chaand,
Bargad Ki Aik Shaakh Hata Kar,
Jane Kis Ko Jhaanka Chaand,
Baadal K Resham Jhoole Mein,
Bhwor Samay Tak Soya Chaand,
Raat K Shaanoon Par Sar Rakhe,
Dekh Raha Hai Sapna Chaand,
Sookhe Patoon K Jhurmat Par,
Shabnam Thi Ya Nanhaa Chaand,
Haath Hila Kar Rukhsat Hoga,
Us Ki Soorat Hijar Ka Chaand,
Sehra Sehra Bhatak Raha Hai,
Apne ISHQ Mein Sacha Chaand,
Raat K Shaayd 1 Bajay,
Sota Hota Mera Chaand............!
.
Book
Khushboo
Comments
Post a Comment