Matlab Mamlat Ka Kuch Pa Gia Hon Main, Hans Kar Fareb-E-Chashm-E-Karam Kha Gia Hon Main,


Poet Abdul Hameed Addam

Matlab Mamlat Ka Kuch Pa Gia Hon Main,

Hans Kar Fareb-E-Chashm-E-Karam Kha Gia Hon Main,

Bas Intaha Hai Choriye Bas Rehne Dijiye,

Khud Apne Itamad Se Sharma Hon Main,

Saqi Zara Nigah Mila Kar To Dekhna,

Kam Bakht Hosh Mein To Nahi Aa Gia Main Hon,

Shaid Mujhe Nikal K Pachta Rahe Hon Aap,

Mehfil Mein Is Khayal Se Phir Aa Gia Hon Main,

Kia Ab Hisab Bhi To Mera Le Ga Hashar Mein,

Kia Ye Atab Kam Hai Yahan Aa Gia Hon Main,

Main Ishq Hon Mera Bhala Kia Kaam Daar Se,

Wo Shara Thi Jisay Wahan Latka Gia Hon Main,

Nikla Tha Maikade Se K Ab Ghar Chalon,

ADAM

Ghabra K Soo-E-Maikada Phir Gia Hon Main...............!

Page 92,93


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo