Bharrka Rahe Hain Aag Lab Naghma Gar Se Hum Khaamosh Kaya Rahain Ge Zamaane K Dar Se Hum


Poet Sahir Ludhyanvi

Book Talkhiyaan

Type By
UROOSA EMAAN‬

Bharrka Rahe Hain Aag Lab Naghma Gar Se Hum

Khaamosh Kaya Rahain Ge Zamaane K Dar Se Hum

kuch Aur Barrah Gaey Jo Andhere To Kaya Huwa ?

Maayoos To Nahain Hain Talou-E-Sehar Se Hum

le De K Apne Pass Faqat Ik Nazar To Hai

Kioun Dekhain Zindagi Ko Kisi Ki Nazar Se Hum

Mana K Is Zameen Ko Na Gulzaar Kar Sake

Kuch Khaar Kam To Kar Gaey Guzre Jidhar Se Hum..................*


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo