Main Gurriyoon Se Nahi Kheli Mere Bhai Meri Gurriyoon Ki


شاعرہ منصورہ احمد

انتخاب
عروسہ ایمان‬

میں گڑیوں سے نہیں کھیلی
میری بھائی میری گڑیوں کی
ٹانگیں اور بازو توڑ دیتے تھے
میرے آنگن میں اک سورج کا گھر تھا
جہاں سارے کھلونے اور غبارے بھک سے اڑ جاتے تھے
سنا ہے سب کا اک بچپن تو ہوتا ہے
میرا بچپن کہاں ہے؟
تو پھر یہ کون ہے
جو ہر گھڑی مجھ سے
میری ٹوٹی گڑیا
کھلونے اور غبارے مانگتا ہے؟
سنا ہے زندگی آغاز ہی بچپن سے ہوتی ہے
تو میری زندگی آغار کب ہوگی....................؟


Poetess Mansoorah Ahmad
Main Gurriyoon Se Nahi Kheli
Mere Bhai Meri Gurriyoon Ki
Taangein Aur Baazoo Torr Dete The
Mere Aangan Mein Ik Sooraj Ka Ghar Tha
Jahan Sare Khilone
Aur Ghubaare Bhak Se Urr Jate The
Suna Hai Sub Ka Ik Bachpan To Hota Hai
Mera Bachpan Kahan Hai?
To Phir Ye Kon Hai Jo
Har Gharri Mujh Se
Meri Tooti Hui Gurriyaa
Khilone Aur Ghubaare Mangta Hai ?
Suna Hai Zindagi Aaghaaz Hi Bachpan Se Hoti Hai
To Meri Zindagi Aaghaaz Kab Hogi...................?

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo