Abhi Pehli Muhabbat Ke Buhat Se Qarz Baqi Hain Abhi PPehli Musafat Ki Thakan Se Choor Hain Paaon



Abhi Pehli Muhabbat Ke

Buhat Se Qarz Baqi Hain

Abhi PPehli Musafat Ki

Thakan Se Choor Hain Paaon

Abhi Pehli Rafaqat Ka

Har Ik Ghaao Salamat Hai

Abhi Maqtool Khuwabon Ko

Bhi Dafnaya Nahi Hum Ne

Abhi Aankhein Hain Iddat Mein

Abhi Ye Sog Ke Din Hain

Abhi Iss Gham Ki Kefiat Se

Bahir Kis Tarah Aaein

Abhi Iss Gham Ko Bharne Do

Abhi Kuch Din Guzarne Do

Ye Gham Ke Neelgon Darya

Utar Jaein Tou Sochengy

Abhi Ye Zakham Taaza Hain

Ye Bhar Jaein Tou Sochengy

Dobara Kab Ujadna Hai...???


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai