Ak diya dil main jalana bhi , bujha bhi daina
Yaad kerna bhi usay roz, bhula bhi daina
Kia kahon yeh Meri chahat hai , ya nafrat us Ki ?
Nam likhna bhi mera , likh Kay mita bhi daina
Pher Na milnay ko bichertay tu hon , Tujh say likn
Mer Kay daikhon tu palatnay Ki dua bhi daina
Khat bhi likhna usay,mayoos bhi rahna us say
Jurm kerna bhi mager, khud ko saza bhi daina
Mujh ko rasmo ka takaluf bhi gawara likin
Ji main aayaa tu yeh dewar bhi gera daina
Us say mansoob bhi kerlaina puranay qissay
us Kay balon main naya phool saja bhi daina
Surat a naqsh a qadam, dasht main rahna Mohsin
Apnay honay say Na honay ka pata bhi daina
Comments
Post a Comment