Amjad Islam Amjad
Type By
*._.Murtaza._*
Chaman Khilate Ga'ye
Mast-O-Naghmaa
Khawaan Guzre
Rah-E-Wafa Ke
Musafir Jahan Jahan
Guzre
Guzar Ga'ye, Gham-E-
Hijran Ke Seenkrron
Moassam
Tumhare Wasal Ke
Lamhe Na Meri Jaan
Guzre
Wahan Wahan Hui
Zaroon Main Roshni
Peda
Jahan Jahan Se
Mohabbat Ke Karwan
Guzre
Musahiboon Main Ghiri
Zindagi Se Behtar Hai
Woh Aik Sham Jo
Apnon Ke Darmiyaan
Guzre
Na Apne Aap Ko Badla
Na Kuch Badal Paa'ye
Thay Kam Hi Loog Jo
Hum Jaise Raa'egan
Guzre
Kaheen Pe Darj Hai
Sub Kuch Jo Hone
Wala Hai
Woh Saanhe Kaheen
Tay Thay Jo Nagahan
Guzre
Yeh Jin Ki Goonj See
Har Pal Suna'ee Daiti
Hai
Woh Rooz-O-Shab
Nahi Maa'loom, Kab
Kahan Guzre
Sabab Yeh Hai Ke
Zamaane Ki Thi
Zubaan Kuch Aur
Zuban Rakhte Hue
Hum Jo Be Zabaan
Guzre
Kisi Ko Phir Na Milaa
Rang Meer-O-Ghalib
Ka
Agarche Yoon Toh
Hazaroon Hi Khush
Bayaan Guzre
Hai Raaste Ki Saraa'e
Sa Aadmi Ka Dil
Kabhi Yaqeen Yahan
Thehre Kabhi Guman
Guzre
Ajab Fazaa Hai
Chaman Ki Ke Phool
Kehte Hain
Bahaar Aa'ye Na
Aa'ye Magar Khazaan
Guzre
Fazaa Main Pheltee
Khushboo Pata Batati
Hai
Kahan Kahan Se
Hamaare Woh
Raftgaan Guzre
Havaa Misaal Zamana
Toh Chalta Rehta Hai
Koi Malool Ho AMJAD
Ke Shadmaan Guzre...
Book Name
Sham Saraa'e
Page 141-142
Comments
Post a Comment