Dil Aaj Shair Hai, Gham Aaaj Nagma Hai Shab Yeh Ghazal Hai Sanam


Dil Aaj Shair Hai, Gham Aaaj Nagma Hai
Shab Yeh Ghazal Hai Sanam
Gairon Ke Sheron Ko, O Sunne Wale
Ho Is taraf Bhi Karam
Aake Zara Dekh to Teri Khatir
Ham Kis Tarah Se Jiye
Aason Ke Dhaage Se Seete Rahe Ham
Jo Zakham Tune Diye
Chahat Ke Mehfil, Mein Gham Tera Lekar
Kismat Se Khela Juva
Duniya Se Jeete Par Tujh Se Haare
Yun Khel Apna Huva
Hai pyaar humne kiya jis tarah se, uska na koi jawab
Hai pyaar humne kiya jis tarah se, uska na koi jawab
Zarra thay lekin teri lau mein jalkar, hum ban gaye aaftaab
Hum se hai zinda wafa aur humhi se hai teri mehfil jawaan
Hum jab na honge to ro ro ke duniya dhundhegi mere nishaan
Ye pyaar koi khilauna nahin hai, har koi le jo kharid
Ye pyaar koi khilauna nahin hai, har koi le jo kharid
Meri tarah zindagi bhar tadap lo, phir aana uske karib
Hum to musafir hain, koi safar ho, hum to guzar jayenge hi
Lekin lagaya hai jo daav humne, woh jeetkar aayenge hi
Woh jeetkar aayenge hi
Woh jeetkar aayenge hi

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai