Dil Jo Hai Aag Laga Doon Us Ko Aur Phir Khud Hi Hawaa Doon Us Ko


Poet Jaun Elia

Type By
*._.Murtaza._*

Dil Jo Hai Aag Laga
Doon Us Ko

Aur Phir Khud Hi
Hawaa Doon Us Ko

Jo Bhi Hai Es Ko
Gavaa Baitha Hai

Main Bhala Kaise
Gavaa Doon Us Ko

Tujh Gumaan Par Jo
Imaarat Ki Thi

Sochta Hoon Ke Main
Dhaa Doon Us Ko

Jisam Main Aag Laga
Doon Us Ke

Aur Phir Khud Hi Bujha Doon Us Ko

HIJAR Ki Nazar To
Daini Hai Ose

Sochta Hoon Ke Bhula
Doon Us Ko

Jo Nahi Hai Mere Dil
Ki Duniya

Kyun Na Main "Jaun"
Mittaa Doon Us Ko....................!

Book Name
Gumaan
Page 201-202


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai