Es Dil Ke Chand Asaason Main Ik Mossam Hai Barsaton Ka


Poetess Noshi Gillani

Type By
*._.Murtaza._*

Es Dil Ke Chand
Asaason Main Ik
Mossam Hai Barsaton
Ka

Ik Sehra HIJAR Ke
Raaton Ka, Ik Jangal
Wasal Ke Khawaabon
Ka

Us Chodhvein Raat Ke
Sa'ye Main Jab Aakhri
Baar Mile Thay Hum

Yeh Dil Paagal Kab
Bhoolta Hai Woh
Baagh Sufaid Gulabon
Ka

Mere Kheema-E-Dil Ke
Pass Kaheen Ik Jugno
Thehar Gaya Aur Phir

Sailaab Tha Saari
Bassti Main Andaazon
Ka, Aawaazon Ka

Hum Loog Janoon Ke
Aalam Main Manzil Ki
Talab Bhi Bhool Ga'ye

Ab Dil Ko Bhalaa Saa
Lagta Hai, Sehar Main
Aks Saraabon Ka

Jin Lafzoon Ki Kuch
Ma'aana Thay Woh
Lafz Toh Khawaab
Hue Lekin

Ab Shehar Main Lagta
Jata Hai Ik Melaa
Na'ee Kitaabon Ka.....!

Book Name
Mohabbatain Jab
Shumaar Karna

Page No- 66


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai