Khatt
Poet: Ameer Minai
Type By
*._.Murtaza._*
Likhta Hoon Fart-E-
Shauq Main Main Baar
Baar Khatt
Likhta Nahi Hai Aik
Mujhe Woh Nigaar
Khatt
Jhunjhula Ke Aik Bhi
Na Parrhega Yaqeen
Hai Woh
Likhe Hain Aik Rooz
Main Maine Hazaar
Khatt
Kia Shauq Hai Banaa
Ke Kabootar Ko Nama
Bar
Aik Aik Par Main
Bandh Diye Char Char
Khatt
Likhoon Zaraa
Kadoorat-E-Dil Ka
Agar Main Haal
Khatt-E-Ghubar Kia
Ho Saraapa Ghubar Khatt
Mumkin Nahi Kisi Ko
Kare Namaa Woh
Raqam
Jab Tak Nikalta Nahi
Us Ka Ghadar Khatt
Likha Hai Apne Haath
Se Us Ne Yeh Namaa
Bar
Aankhoon Se Kyun
Laga'on Na Main Baar
Baar Khatt
Yaseen Ke Badle Us
Ko Parrho Mere
Saamne
Aa Jaa'ye Yaar Ka Jo
Dam-E-Ikhtisar Khatt
Woh Sakht Jaan Hoon
Parrhti Hain Teghen
Hazaar Ha
Parrhta Nahi Hai Tan
Pe Mere Zeenhaar
Khatt
Naqlain Meri
Raqeeboon Ne Ki'n
Sainkrroon Ameer
Likha Jo Usne Mujhko
Huaa Ishtihaar Khatt.
Book Name
Mirrat-Ul-Gaib
Page No: 142
Comments
Post a Comment