Eid Par Jab Laila Ki Yaad Aai Hogi Qais Ne Kaise Phir Eid Manai Hogi



عید اسپیشل
شاعر؛ ایاز خان
قوافی: آئی ، منائی ، اُڑائی...
ردیف: ہوگی
عید پر جب لیلیٰ کی یاد آئی ہو گی
قیس نے کیسے پھر عید منائی ہو گی
لبوں پر صرف لیلیٰ کا نام ہو گا
دشت میں اُس نے خوب خاک اُڑائی ہو گی
دیوانگی میں جب اُس نے خود کو نوچا ہو گا
لیلیٰ ہی اُس کے خیال میں آئی ہو گی
دید کی حسرت نے جب اُس کو ستایا ہو گا
ریت پر لیلیٰ کی تصویر اُس نے بنائی ہو گی
آنکھوں سے جب اُس کے اشک نکلے ہونگے
صحرا نے بھی اپنی پیاس بجھائی ہو گی
تھا اُس کا جینا مرنا صحرا میں
قسم آس نے لیلیٰ کی کھائی ہو گی
تاریک شب میں غم نے جب سر اُٹھایا ہو گا
یادوں کی شمع پھر اُس نے جلائی ہو گی
حال پوچھتا تھا وہ جب چاند لیلیٰ کا
قطبی ستارے نے بھی کچھ آگ لگائی ہو گی
رو رو کر جب اُس کی آنکھ لگی ہو گی ایاز
چپکے سے لیلیٰ اُس کے خواب میں آئی ہو گی.....

Eid Special

Poet:Ayaz Khan

Eid Par Jab Laila Ki Yaad Aai Hogi

Qais Ne Kaise Phir Eid Manai Hogi

Labon Par Sirf Laila Ka Naam Hoga

Dasht Mein Usne Khoob Khaak Udai Hogi

Deewangi Mein Jab Uss Ne Khud Ko Nocha Hoga

Laila Hi Usske Khayaal Mein Aai Hogi

Deed Ki Hasrat Ne Jab Ussko Sataya Hoga

Rait Par Laila Ki Tasveer Ussne Banai Hogi

Aankhon Se Jab Usske Ashk Nikly Hongy

Sahra Ne Bhi Apni Piyas Bhujai Hogi

Tha Usska Jeena Marna Sahra Mein

Qasam Ussne Laila Ki Khai Hogi

Tareek Shab Mein Gham Ne Jab Sar Uthai Hogi

Yadoon Ki Shamma Phir Ussne Jalai Hogi

Haal Pochta Tha Wo Jab Chaand Laila Ka

Qutbi Sitare Ne Bhi Kuch Aag Lagai Hogi

Ro Ro Kar Jab Uski Aankh Lagi Hogi AYAZ

Chupkey Se Laila Uske Khuwaab Mein Aai Hogi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo