Aisa hai keh sab khwaab musalsal nahi hotay jo aaj to hotay hain magar kal nahi hotay



Aisa hai keh sab khwaab musalsal nahi hotay
jo aaj to hotay hain magar kal nahi hotay

Ander ki fazaa'on kay karishmay bhi ajab hain,
meenh toot kay barsay bhi to baadal nahi hotay

Kuchh mushkilen aisi hain keh aasaan nahi hotiin
kuchh aisay mu'ammay hain kabhi hal nahin hotay

Shaaestagi-e gham kay sabab aankhon kay sehraa
namnaak to ho jaatay hain jal-thal nahi hotay

Kaisay he talaatum hon magar qulzum-e jaan men
kuchh yaad jazeeray hain keh ojhal nahi hotay

Ushhaaq ki maanind kaee ehal-e hawas bhi,
paagal to nazar aatay hain paagal nahi hotay

Sab khwaahishen poori hon "FARAZ" aisa nahi hai
jaisay kaee ashaar mukammal nahi hotay!!!

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai