humen Khabar hai hum Ehal e Dil Ka muhabbaton Men Yeh Haal ho ga Bahaar Men Bhi Wo Habs ho ga Keh Saans Laina Muhaal ho ga



humen Khabar hai hum Ehal e Dil Ka muhabbaton Men Yeh Haal ho ga
Bahaar Men Bhi Wo Habs ho ga Keh Saans Laina Muhaal ho ga

NaQoosh dhundla Gaye hAin Jis Kay, Khayaal Jis Ka dhuwaan dhuwaan hai
woh Zard Patton Kay koray Kaghaz Pay Likhii koii Misaal ho ga

Jo Naaptay hain musafaton Ko Lateef Jazbon Kii Shiddaten hain
Kahin Saddii Saa'aton Kii Had Men Kahin Pay Lamha Bhi Saal ho ga

mujhay hai Syaad Say woh Nisbat Keh mUjh Ko Manzoor hai Aseerii
Qafas Kii Aaghosh Say Jo Nikla To Wus'aton Ka Wabaal ho ga

tumharay Lehjay Ki Talkhiyon Ko bhUlla Kay Eik Bar Mil To loon Mein
Magar Ho Itna Yaqeen mUjh Ko Bichar Kay tum Ko Malaal ho ga

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo