Kia Haal Hai Mery GaaOn Ka, Peepal Ki Thandi ChhaOn Ka, Sharmili ShOkh NigaahOn Ka, Un Naaz Bhari AdaaOn Ka



"+,,+"
Aey GaaOn Say Aany
Waaly Bataa.>
"+,,+"
Kia Haal Hai Mery GaaOn Ka,
Peepal Ki Thandi ChhaOn Ka,
Sharmili ShOkh NigaahOn Ka,
Un Naaz Bhari AdaaOn Ka.>
"+,,+"

Aey GaaOn Say Aany
Waaly Bataa.*
"+,,+"

Aajj-Kal Humaary
GaaOn Mein Kaisa
Sawera HOtaa Hai,
Kia Ab Bi Un Ke
Aangan Mein PhOolOn
Ka Baseraa HOta Hai,
Panchhi Geet Sunaaty Hain
Jab DOor Andheraa Hai
Un Ke Dil Mein Kia
Ab Bi Meri Yaad Ka
Dera HOta Hai.>
"+,,+"
Aey GaaOn Say Aany
Waaly Bataa.*
"+,,+"

Kia Ab GaaOn Ki
GaliyOon Mein Bache
ShOr Machaaty Hain,
Piyaari Piyaari BaatOn Say
Sab Ka Dil Behlaaty Hain,
Gude Aur Gudi Ki Shadi
Bi Karwaaty Hain,
Aur Chhutti Ke Din
KhetOn Mein Maa-Baap
Ka Haath Batate Hain.*
"+,,+"
Aey GaaOn Say Aany
Waaly Bataa.*
"+,,+"
Kia Ab Bi Humaary
KhaitO Ke Samaan
Sehaany HOty Hain,
Kia Ab Bi JawanOn Ke
Lab Par Waisy Taraany
HOty Hain,
Hum Khel JO Khelaa
Karty Thy WOhi Khel
Puraany HOty Hain
"+,,+"
Aey GaaOn Say Aany
Waaly Bataa.*
"+,,+"
Kia Ab Bi GaaOn Ki
Naariyaan Paani
Bharny Jaati Hain,
Apny Sundar PairOn Ki
Paayal Bi Chhankati Hain,
Sub Sakhiyaan Ek-DOoji
KO Dil Ka Haal Sunati Hain,
Aur Apny Nazuk SarOn
Par Teen Chaar Gharry
Uthaati Hain.*
"+,,+"
Aey GaaOn Say Aany
Waaly Bataa.*
"+,,+"

Kuchh TO Mujh KO Haal
Sunaa Meri MehbOobaa
Matwaaali Ka,
Jheel Si JiSs Ki Aankhein
Naagin ZullfOn Waali Ka,
PhOoll Sa JiSs Ka Chehraa
Tha MaasOom Si BhOli
Bhaali Ka,
JO Pawan Ke ISHQ Mein
Pagal Thi USs PaGal
Dil Waali Ka.*
"+,,+"
Aey GaaOn Say Aany
Waaly Bataa,
Kia Haal Hai Mery
GaaOn Ka.......*

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai