Ujaley door nahi



Ujaley door nahi
My latest 19 march 2017

Shaid kuch lamhon ke lea zindagi saqit ho jatey hae,
Madham khamoshi jab, charon taraf phel jatey hae,
Aisey mein, her taraf ik aseeb zada, sae umad atey hein,
In sayon mein, bhi ik hasrat phir bhi baqi rehtey hae,
Kabhi ye sae chat jaen gae,
Kabhi, weranon mein koi ,
Roshni, phir se, subha ke sooraj ke,
Ik nae zindagi roshan karey gee,
Mujhey uss roshni ka intezaar hae,
Wo roshni phir kahein aye gee,
Zindagi kabhi ik jaga saqit nahi rehtey,
Kabhi, andhera ho agar tu, ujala bhi hota hae,
Shaid kuch lamhon ke lea zindagi saqit ho jatey hae,
Magar, zindagi chaltey rehtey hae, saqit nahi hotey,
Jo zindagi ho baqi, tu, ujalon ke tamana ke ja saktey hae,
Ujaley door nahi
Farquleet Mahmood

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo