Chaman Chaman Fareeb_E_ Rang O Bo Hai Aur Kuch Nahi Bas Ik Jamal-E-Khaam Chaar Sou Hai Aur Kuch Nahi



Chaman Chaman Fareeb_E_ Rang O Bo Hai Aur Kuch Nahi
Bas Ik Jamal-E-Khaam Chaar Sou Hai Aur Kuch Nahi

Qafas Mein Aashiyaan Ka Naam Sun Ke Mutmaen Na Ho
Yeh Baghban Ka Husn-E-Guftagu Hai Aur Kuch Nahi

Khumar Hai Kahan Ke Dil Ki Tashnagi Bujhaiye
Is Anjuman Mein Saya-E-Subu Hai Aur Kuch Nahi

Tumhen Gulon Ki Be Basi Mein Husn Ki Talaash Hai
Yeh Justojoo Baraye Justojoo Hai Aur Kuch Nahi

Khatak Rahi Hai Jo Abhi Zamir-E-Kaayenaat Mein
Luti Hui Bashar Ki Aabaroo Hai Aur Kuch Nahi

Qateel Shifai

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai