Jab Teri Yaad Ke Bazaar Se Lag Jate Hain Dar Ke Hum Bheerr Mein Deewaar Se Lag Jate Hain



ﺟﺐ ﺗﺮﯼ ﯾﺎﺩ ﮐﮯ ﺑﺎﺯﺍﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ 
ﮈﺭ ﮐﮯ ﮨﻢ ﺑﮭﯿﮍ ﻣﯿﮟ ﺩﯾﻮﺍﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ
ﮨﺠﺮ ﮐﮯ ﭘﯿﮍ ﺳﮯ ﺟﺐ ﯾﺎﺩ ﮐﺎ ﭘﮭﻞ ﮔِﺮﺗﺎ ﮨﮯ
ﺩﻝ ﻣﯿﮟ ﭘﮭﺮ ﺩَﺭﺩ ﮐﮯ ﺍﻧﺒﺎﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ
ﺍﺱ ﺳﻔﺮ ﭘﺮ ﺟﻮ ﭼﻠﮯ ﮨﯿﮟ ﺗﻮ ﯾﮩﯽ ﺟﺎﻧﺎ ﮨﮯ
ﻋﺸﻖ ﻣﯿﮟ ﮨﺠﺮ ﮐﮯ ﺁﺯﺍﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ
ﻻﮐﮫ ﭼﺎﮨﺎ ﮨﮯ ﻣﮕﺮ ﮐﻢ ﻧﮧ ﮨﻮﺋﯽ ﻭﺣﺸﺖِ ﺩﻝ
ﺍِﺱ ﻟﯿﮯ ﺳﯿﻨﺌﮧ ﻏﻤﺨﻮﺍﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ
ﮐﯿﻮﮞ ﻧﮧ ﮨﻢ ﺍﭘﻨﯽ ﻋﺪﺍﻭﺕ ﮐﻮ ﭘﺮﮐﮫ ﻟﯿﮟ ﺍﺏ ﮐﮯ
ﯾﻌﻨﯽ ﺩﺷﻤﻦ ﮐﮯ ﮔﻠﮯ ﭘﯿﺎﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ
ﺟﺐ ﯾﻘﯿﮟ ﮨﻮ ﮐﮧ ﻣُﻘّﺪﺭ ﻣﯿﮟ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﮯ ﻣﻨﺰﻝ
 ﺩﻭ ﻗﺪﻡ ﺭﺳﺘﮯ ﺑﮭﯽ ﺩﺷﻮﺍﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ

ﮐﺎﺵ ﻣﺮﮨﻢ ﮨﻤﯿﮟ ﻣِﻞ ﺟﺎﺋﮯ ﮐﮩﯿﮟ ﺳﮯ ﺍُﻥ ﮐﺎ
ﺯﺧﻢ ﺟﻮ ﺍﭘﻨﻮﮞ ﮐﯽ ﮔﻔﺘﺎﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ
ﺍُﺱ ﮐﯽ ﺗﺼﻮﯾﺮ ﮐﻮ ﺳﯿﻨﮯ ﺳﮯ ﻟﮕﺎ ﮐﺮ ﻣَﺸﻌﻞ 
 ﮨﻢ ﺗَﺨّﯿﻞ ﻣﯿﮟ ﮔﻠﮯ ﯾﺎﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ 

ﻏﺰﺍﻟﮧ ﻣَﺸﻌﻞ
Jab Teri Yaad Ke Bazaar Se Lag Jate Hain
Dar Ke Hum Bheerr Mein Deewaar Se Lag Jate Hain

Hijar Ke Pairr Se Jab Yaad Ka Phal Girta Hai
Dil Mein Phir Dard Ke Anbaar Se Lag Jate Hain

Is Safar Mein Jo Chalay Hain Toh Yahi Jana Hai
Ishq Mein Hijar Ke Aazaar Se Lag Jate Hain

Laakh Chaha Hai Magar Kam Na Hoi Wehshat-e-Dil
Is Liye Seena-e-Ghamkhuwaar Se Lag Jate Hain

Kion Na Hum Apni Adawat Ko Parkh Lein Ab Ke
Ya'ani Dushman Ke Galey Piyaar Se Lag Jate Hain

Jab Yaqeen Ho Keh Muqaddar Mein Nahi Hai Manzil
Do Qadam Rastey Bhi Dushwaar Se Lag Jate Hain

Kaash Marham Hamain Mil Jae Kahein Se Un Ka
Zakham Jo Apnon Ki Guftaar Se Lag Jate Hain

Uski Tasweer Ko Seenay Se Laga Kar MASHA'AL
Hum Takhaul Mein Galey Yaar Ke Lag Jate Hain

Ghazala Masha'al

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo