Kal Raat Bazm Mein jo Milla Gulbadan Saa Tha Khushboo Se Uss ke Lafaz Thay Chehra Chaman Sa Tha



Kal Raat Bazm Mein jo Milla Gulbadan Saa Tha
Khushboo Se Uss ke Lafaz Thay Chehra Chaman Sa Tha

Daikha Ussay To Bol Parray Uss Ke Khad-o-Khaal
Poocha Ussay To Chup sa raha, Kam Sukhan Sa tha

Tunhaaiyon Ki Rutt Mein Bhi Lag'ta Tha Mut'mayen
Woh Shakhas Apni Zaat Mein Ik Anjuman Sa Tha

Socha Ussay To Main Kae Rangon mein Kho Gaya
Aalam Tamaam Uss Ke Haseen Payr'han Saa Tha

Jo Shaakh Shaakh Thi woh Ussi Ke Laboon Si Thi
Jo Phool Khil Gaya Tha Woh Ussi Ke Dehan Saa Tha

Woh Saadgi Pehan Ke Bhi Dil Mein Utar Gaya
Uss Ki Har Ik Ada Mein Ajab Bhol'pan Sa Tha

Aasaan Samajh Rahay Thay Ussay Shehar-e-Jaan Ke Log
Mushkil Tha Iss Qadar Keh Mere Apnay Fun Sa Tha

wo guftagoo thi uss ki ussi ke liye hi thi!
kehnay ko youn tu main bhi shareek-e-sukhan saa tha

taaray thay chandni mein keh tohmat ke daagh thay
Mohsin kal aasmaan bhi mere kafan sa tha

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo