jab tak kisi khush'fehm ki nazron men raha main bas utnay shab-o-roz he jee bhar kay jiya main



jab tak kisi khush'fehm ki nazron men raha main
bas utnay shab-o-roz he jee bhar kay jiya main

ek chaand nay aa kar meri aankhon men yoon jhanka
phir chaandni raaton men kabhi so na saka main

kuchh aansu, kaii jhilmil si duaayen
yehi rakht-e-raah-e-khwaab tha jab ghar say chala main

ek umar kay baad aaj phir aainay ko dekha
ek baar to khud ko bhi nahi pehchan saka main

jin raaston ki qismat men nahi mehar-o-sitara
mumkin ho to un raaston ka ban jaauun diya main

jis nay mera dil dard say sairaab kiya hai
aankhon men liye phirta hoon wahi rang-e-hina main

jaqta bhi kahaan daam-e-tamanna say nikal kar
sad shukar teray halqa-e-khushboo men raha main

aizaaz hoon par zar ka zamana jo hai yaaro
ab tum say marasim kay bhi qaabil na raha main

tu aur kahiin, aur kisi ka sahi lekin
sunta hoon lahoo men teri dharkan ki sada main

karmon ka sila aagay milay ga to phir "ahmad"
is duniya men kis duniya ki paata hoon saza main??

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo