Kafas mein rehtey rehtey, Yunhi zindagi ik ujarey hue, gulistaan ke manand,



Kafas mein rehtey rehtey,
Yunhi zindagi ik ujarey hue, gulistaan ke manand,
My Latest 30.9.17
Kafas mein rehtey rehtey,
Yunhi zindagi ik ujarey hue, gulistaan ke manand,
Dekhae dee, tum bohat dur nazar aye, kash,
Mein jaan sakta, in parchayon ke peechey, Muama kea hae,
Haerat hae janab, phir bhi, la-ilmi ka izhar kertey hein,
Kafas mein, rehtey rehtey,
Zindagi,Muama ban gae, mujhey waqt guzarney ka ehsas na hua,
Yahan tu sadiaan beet gaen, log chaley gae, mein munjamid reh gea,
Yaaro batao, wo sab kahan hein,
Yaaro bataon kahan hun mein,
Ye jahan kia hae, kisi ko khabar hae,
Magar, her taraf sanata hae, or kuch nahi...!!!
Farquleet Mahmood

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo