Shajar hain ab samar aasar mere Ugey aate hain daavedaar mere



Shajar hain ab samar aasar mere
Ugey aate hain daavedaar mere
Muhaajir hain na ab ansaar mere
Mukhaalif hain bahut is baar mere
Yahaan ek boond ka mohtaaj hoon main
Samandar hain samandar paar mere
Abhi murdon mai roohei.n phoonk daalein
Agar chaahein to ye beemar mere
Hawaayen odh kar soya thha dushman
Gaye bekaar saare waar mere
Mai aakar dushmano mai bas gaya hoon
Yahaan humdard hain do chaar mere
Hansi mai taal dena thha mujhe bhi
Khafaa kyun ho gaye sarkaar mere
Tasavvur mai na jaane kaun aaya
Mehak ut.tthe dar o deewar mere
Tumhara naam duniya jaanti hai
Bahut ruswaa hain ab ash.aar mere
Bhanwar mai ruk gayi hai naav meri
Kinaare reh gaye us paar mere
Mai khud apni hifaazat kar raha hun
Abhi soye hain pehredaar mere
Rahat Indori

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha