Titlyon k mausam main, nochna gulabon ka, Reet is nagar ki ha, aur janay kb se ha,



Titlyon k mausam main, nochna gulabon ka
Reet is nagar ki ha, aur janay kb se ha
Dekh kar parindon ko, bandhna nishanon ka
Reet is nagar ki ha, aur janay kb se ha
Shaher k ye bashinday, nafraton ko bo kar bhi
Intizar kartay han, fasl ho mohabat ki
Bhool kar haqeeqat ko, dhoondna sarabon ka
Reet is nagar ki ha, aur janay kb se ha
Tum bhi nae ho na, is liae pareshan ho
Aasman ki janib, isttarah se mat dekho
Aafaten jb aani hon, tootna sitaron ka
Reet is nagar ki ha, aur janay kb se ha
Ajnabi fizaon k, ajnabi musafir se
Apnay har ta, alluq ko
Daaemi samajh lena
Aur jb bicharna to
Maangna duaon ka
Reet is nagar ki ha, aur janay kb se ha

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo