ye jo reg e dasht e firaq ha ye rukay agar to milen nishan



ye jo reg e dasht e firaq ha
ye rukay agar to milen nishan
k jo faaslon ki saleeb ha
wo gari hui ha kahan,, kahan
meray aasman se kidhar gai
teray iltafat ki kahkashan
ye rukay agar to pata lagay
ye pata lagay,man tha kis nagar
tu raha kahan
k zaman o makan ki ye wusaten
tujhay dekhnay ko taras gaen
WO MERAY NASEEB KI BARISHEN
KISI AUR CHT PAR BARAS GAEEN

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo