Un aankhon ka aalam, ghulabi ghulabi Mere dil ka aalam, sharabi sharabi



Un aankhon ka aalam, ghulabi ghulabi
Mere dil ka aalam, sharabi sharabi
Nigahon ne dekhi, muhabbat ne maani
Teri bemisali, teri la-jawaabi
Ye duz-deeda nazarein, ye raftaar-e-naazuk
Inheen ke badaulat hui hai kharaabi
Khuda ke liye apni nazron ko roko
Tamanna bani ja rahi hai jawabi
Hai Behzad unki nigah-e-karam par
Meri na-muradi meri kaamayabi
Behzad Lucknavi

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo