raat-bhar sard hawa chalti rahi raat-bhar ham ne aalaao taapa



raat-bhar sard hawa chalti rahi
raat-bhar ham ne aalaao taapa
main ne maazi se kai khushk si shaakhein kaatein
tum ne bhi guzre hue lamhon ke patte todhe
main ne jebon se nikaalein sabhi sukhi nazmein
tum ne bhi haathon se murjhaaey hue khat khole
apni in aankhon se main ne kai maanje todhe
aur haathon se kai baasi lakeerein phenkein
tum ne palkon pe nami sookh gai thi so gira di raat bhar jo bhi mila uggte badan par ham ko
kaat ke daal diya jalte aalaao mein ussay
raat-bhar phoonkon se har lau ko jagaaey rakha
aur do jismon ke endhan ko jalaaey rakha
raat-bhar bujhte hue rishte ko taapa ham ne
Gulzar

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha