jahan phoolon ko khilna tha wahin khilte to acha tha Tumhi ko humne chaha tha ,tumhi milte to acha tha



jahan phoolon ko khilna tha wahin khilte to acha tha
Tumhi ko humne chaha tha ,tumhi milte to acha tha

Koi aa kar humein pochay tumhein kaise bhulaya hai
Tumhare khat ko Ashkon se shab e gham Mein jalaya hai
Hazaron Zakhm Aisey Hain agar siltey to acha tha
Tumhi ko humne chaha tha tumhi milte to acha tha

Tumhein jitna bhulaya hai tumhari yaad aai hai
Bahaaar e nou Jo aai hai wohi khushbo hi lai hai
Tumhare Lab meri khatir agar Hiltey To acha tha
Tumhi ko hamne chaha tha tumhi milte to acha tha

Mila hai lutf bhi hum ko haseen yaadon ki jhilmil Mein
Kati hai zindagi tum bin magar itni si hai dill Mein
Agar aate tu acha tha ,agar milte to acha tha
Tumhi ko humne chaha tha tumhi milte to acha tha...!!!

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai