Na Kashti Hai Na Fikr-e-Na-Khuda Hai Dil-e-Toofan-Talab Ka Aasra Hai
Na Kashti Hai Na Fikr-e-Na-Khuda Hai
Dil-e-Toofan-Talab Ka Aasra Hai
Ilahi Khair Namoos-e-Wafa Ki
Unhein Bhi Fikr-e-Namoos-e-Wafa Hai
Subuk-Saran-e-Sahil Jante Hain
Dil-e-Sahil Mein Kiya Toofan Bapa Hai
Nahi Ye Naghma-e-Shor-e-Salasil
Bahaar-e-Nau Ke Qadmon Ki Sada Hai
Farogh-e-Mah Kia Aur Kehkeshan Kia
Ye Mere Mah-e-Nau Ki Khaak-e-Paa Hai
Zamane Ki Ghulami Ham-Nafas Kiyon
Zamana Aadmi Ki Khaak-e-Paa Hai
Shikayat-Haa-e-Soz-e-Tishnagi Kiyon
Abhi "Saghar" Dar-e-Mai-Khaana-Wa Hai
Poet:Saghar Nizami
Source:
Rooh e Ghazal , Pachaas Sala Intekhaab

Comments
Post a Comment