Nadim-e-Dard-e-Muhabbat Bada Sahara Hai Jabhi Tou Ye Gham-e-Dauran Hamein Gawara Hai
Nadim-e-Dard-e-Muhabbat Bada Sahara Hai
Jabhi Tou Ye Gham-e-Dauran Hamein Gawara Hai
Zamana Kehta Hai Hangama-e-Hayat Jise
Mere Hujoom-e-Tamanna Ka Esteara Hai
Jo Mere Dil Ko Hai Aatish-Kada Banae Hoe
Woh Soz Unki Nazar Ka Hi Ashkara Hai
Akela Chod Ke Toofan Ko Guzar Jae
Ye Be-Rukhi Meri Kashti Ko Kab Gawara Hai
Na Jane Mauj-e-Tabassum Hai Ya Koi Aansoo
Phir Unke Hont Pe Be-Taab Ik Sitara Hai
Majaal-e-Ishq Kahan Thi Keh Hum Ko Karta Khaak
Hamein Tou Zeest Ki Pamaliyon Ne Maara Hai
Wafa-e-Dost Ki Masti Naseeb Hai "Saghar"
Jafa-e-Dahar Faqat Iss Liye Gawara Hai
Poet:Saghar Nizami
Source:
Rooh e Ghazal , Pachaas Sala Intekhaab

Comments
Post a Comment