Posts

Showing posts from December, 2019

Wapas Na Ja Wahain Ke Tere Shehr Mein "Munir" Jo Jis Jagah Pe Tha Woh Wahain Par Nahin Raha

Image

Woh Mujh Ko Dekhny Mere Qareeb Aaya Hai Ye Dhund Sare Maheenon Mein Kion Nahi Padti

Image

tumhari yaad ki shiddat mein bahne waala ashk zameen mein bo diya jaaye tou aankh ug aaye

Image
تمہاری یاد کی شدت میں بہنے والا اشک زمیں میں بو دیا جائے تو آنکھ اگ آئے tumhari yaad ki shiddat mein bahne waala ashk zameen mein bo diya jaaye tou aankh ug aaye

Naya saal aaya naya saal aaya umeedon ka dil mein diya jagmagaya

Image
Naya saal aaya naya saal aaya umeedon ka dil mein diya jagmagaya naye saal ka ham ko paigham kya hai naye saal mein ab naya kaam kya hai  purana tareeqa badalna hai ham ko taraqqi ki rahon pe chalna hai ham ko  andhere ke daman ko ham chaak kar dein watan ki fazaon ko noor-e-sahar dein  sunen dard-mandon ki fariyad kya hai ghareebon pe dar-asl uftad kya hai  uthen aur dukhiyon ka dukh door kar dein masarrat se har dil ko ma'amoor kar dein nayi raushni se faza jagmagayen naye saaz par ab naye geet gaayen Syeda Farhat

jaise qatre ne utara ho nadi ka sadqa kitna halka hua dil us ko dua dene se

Image
جیسے قطرے نے اتارا ہو ندی کا صدقہ کتنا ہلکا ہوا دل اس کو دعا دینے سے jaise qatre ne utara ho nadi ka sadqa kitna halka hua dil us ko dua dene se

Yeh kiya keh soraj pe ghar banana Aur us pe chhaun talaash karna Kharhey bhi hona to daldalon pe Phir apney paaun talaash karna

Image
یہ کیا کہ سورج پہ گھر بنانا اور اس پہ چھاؤں تلاش کرنا کھڑے بھی ہونا تو دلدلوں پہ پھر اپنے پاؤں تلاش کرنا نکل کے شہروں میں آ بھی جانا چمکتے خوابوں کو ساتھ لے کر بلند و بالا عمارتوں میں پھر اپنے گاؤں تلاش کرنا Yeh kiya keh soraj pe ghar banana Aur us pe chhaun talaash karna Kharhey bhi hona to daldalon pe Phir apney paaun talaash karna Nikal ke shahron mein aa bhi jana Chamkte khuabon ko saath le kar Buland o Baala imaaraton mein Phir apney gaaun talaash karna

An-Kahi Ki Alag Azeeyat Aur Kahi Ka Azaab Mat Poocho

Image
اَن کہی" کی الگ اذیت ہے اور "کہی" کا عذاب مت پُوچھو An-Kahi Ki Alag Azeeyat Aur Kahi Ka Azaab Mat Poocho

Aap Ki Gham Ke Dastras Me Rahe Iss Bars Bhi Ussi Bars Me Rahe Good Bye 2019 Wel Come 2020

Image
Good Bye 2019  Wel Come 2020 آپ کے غم کی دسترس میں رہے اس برس بھی اُسی برس میں رہے Aap Ki Gham Ke Dastras Me Rahe Iss Bars Bhi Ussi Bars Me Rahe   جانے وہ قید یا رہائی تھی اک مسیحا کے ہم قفس میں رہے Jane Woh Qaid Ya Rehaai Thi Ik Maseeha Ke Hum Qafas Me Rahe   بے بسی کا مری یہ عالم ہے جو نہیں ہے، اسی کے بس میں رہے Be-Basi Ka Meri Ye Aalam Hai Jo Nahi Hai , Ussi Ke Bas Me Rahe ہم کو معلوم عشق لا حاصل پھر بھی ہم اس کی بس ہوس میں رہے Hum Ko Maloom Ishq La-Hasil Phir Bhi Hum Uss Ki Bas Hos Me Rahe ایک پاتال زندگی اپنی ہر گھڑی خواہشِ کلس میں رہے Aik Pataal Zindagi Apni Har Ghari Khuwahis e Kalas Me Rahe مختصر کر تو داستاں ابرک روح تھے وہ، نہ اس نفس میں رہے Mukhtasar Kar Tu Dastaan ABRAK Rooh Thay Woh , Na Iss Nafs Me Rahe   اتباف ابرک Atbaf Abrak

Ph Guloono Ke Mondaly Shi GUL Yao Neem Wara Na Di Khushboyi Kavi Tal Yao Neem

Image
Ph Guloono Ke Mondaly Shi GUL Yao Neem Wara Na Di Khushboyi Kavi Tal Yao Neem Shumaar Neshta Ph Dunya Der Aashiqaan Di Kavi Khoob Dh Ma'ashoqay Ph Sangal Yao Neem Da Yao Fazal Dy Dh Khudaai Che Pa Cha Oshi Dh Gohar Kri Samandar Ke Mondal Yao Neem Der Ph Porta Porta Gori Kamyaab Na Shi Tar Aasmana Rasavi Takhayul Yao Neem Ma Che Kala Dh Yaar Shondey Khukal Kre Der Dh Sokhta Ph Jara Sho Khandal Yao Neem Ma Ta Somra Dh Pokhtoon Veena Khuwaga Da Har Kitaab Ke Pre Leekama Ghazal Yao Neem Dh Pokhtoon Watan Kra Droond ALI HAIDARA Khalaq Der Dy Kho Kavi Dranol Yao Neem Poet:Ali Haidar Joshi Book:Deewaan e Joshi Page:106

Moujen Baham Hoein Tou Kinara Nahi Raha Aankhon Mein Koi Khuwaab Dobara Nahi Raha

Image
موجیں بہم ہوئیں تو کنارہ نہیں رہا آنکھوں میں کوئی خواب دوبارہ نہیں رہا پروین شاکر Moujen Baham Hoein Tou Kinara Nahi Raha Aankhon Mein Koi Khuwaab Dobara Nahi Raha Parveen Shakir

Mere sabar par koi ajar Kia meri dopher pe ye abar kiun? Mujhe ornay de azeeyatein meri adatain na kharab kar

Image
Mere sabar par koi ajar Kia meri dopher pe ye abar kiun? Mujhe ornay de azeeyatein meri adatain na kharab kar

Band pankh aur teri nazar ka jhuka hona Ay nazar ke parinde ye nahin hai tera hona

Image
बंद पंख और तेरी नज़र का झुका होना ऐ नज़र के परिंदे ये नहीं है तेरा होना नीलेश जैन Band pankh aur teri nazar ka jhuka hona Ay nazar ke parinde ye nahin hai tera hona  Neelesh Jain

Dhokay Aise Hi Nahi Miltay Bhala Karna Padta Hai Logo Ka

Image
Dhokay Aise Hi Nahi Miltay Bhala Karna Padta Hai Logo Ka Joun Elia

Luo Diye Ki Main Kam Karata Hoon Tum Hawa Se Kaho Sudhar Jaye

Image
Luo Diye Ki Main Kam Karata Hoon    Tum Hawa Se Kaho Sudhar Jaye

Hansi thami hai in ankhon mein yun nami ki tarah chamak uthe hain andhere bhi raushni ki tarah

Image
Hansi thami hai in ankhon mein yun nami ki tarah chamak uthe hain andhere bhi raushni ki tarah MEENA KUMARI NAZ

Main DECEMBER Aur Tu JANUARY Reshta Kafi Paas Ka Hai Magar Saal Bhar Ki Doori Hai

Image
میں دسمبر اور تو جنوری رشتہ کافی پاس کا ہے مگر سال بھر کی دوری ہے Main DECEMBER Aur Tu JANUARY Reshta Kafi Paas Ka Hai Magar Saal Bhar Ki Doori Hai

CHHAI Pe Unn Ke Haath Ka Haai Tazkira Razab Urdu Me Koi Loot Le Jeewan Lakhnov Ki Shaam

Image
CHHAI Pe Unn Ke Haath Ka Haai Tazkira Razab Urdu Me Koi Loot Le Jeewan Lakhnov Ki Shaam Razab Tabraiz

Mehman Char Din Ke Aur Ghar Samajh Lia Hai Hum Ne Saraab Ko Hi Manzar Samajh Lia Hai

Image
مہمان چار دن کے اور گھر سمجھ لیا ہے ہم نے سراب کو ہی منظر سمجھ لیا ہے Mehman Char Din Ke Aur Ghar Samajh Lia Hai Hum Ne Saraab Ko Hi Manzar Samajh Lia Ha i   کتنوں نے کر لیا ہے دنیا کو اب مسخر خود کو سکندروں سے برتر سمجھ لیا ہے  Kitno Ne Kar Lia Hai Dunya Ko Ab Musakhar  Khud Ko Sikandaro Se Bartar Samajh Lia Hai اچھا ہے کیا برا کیا، اس بات سے غرض کیا بس ذات ہی کو اپنی محور سمجھ لیا ہے Acha Hai Kia Bura Kia Iss Baat Se Gharaz Kia  Bas Zaat Hi Ko Hi Apni Mehwar Samajh Lia Hai    بھولے کتاب کو ہم، پیغام سارا بھولے بھٹکے مسافروں کو رہبر سمجھ لیا ہے Bhooly Kitab Ko Hum Paigham Sara Bhooly Bhatkay Musafiro Ko Rehbar Samajh Lia Hai ہوتے سبق نہیں جو اب یاد اس جہاں کو ان کو نصاب سے ہی باہر سمجھ لیا ہے  Hote Sabaq Nahi Jo Ab Yaad Iss Jahan Ko Inn Ko Nasaab Se Hi Bahir Samajh Lia Hai تہذیب اپنی کھوئی، کھو بیٹھے علم سارا رنگینئی جہاں کو زیور سمجھ لیا ہے Tahzeeb Apni Khoii Kho Baithay Ilam Sara Rangeeni e Jahan Ko Z...

Hazaar Jaam Tasadaq Hazaar Maikhane Nigaah e Yaar Ki Lizzat Sharaab Kiya Jane

Image

Mere jazbat ko lafzon mein ada karne do Fiker o Ehsas ke dariya mein mujhe behne do

Image
میرے جذبات کو لفظوں میں ادا کرنے دو فکر و احساس کے دریا میں مجھے بہنے دو کل تو خاموش تھا میں آج بھی خاموش رہوں یہ مرے بس میں نہیں آج مجھے کہنے دو Mere jazbat ko lafzon mein ada karne do Fiker o Ehsas ke dariya mein mujhe behne do Kal to khamoosh tha main aaj bhi khamoosh rahon? Ye mere bas mein nahin aaj mujhe kahne do

Teri Chashm e Naaz Mujh Ko Na Lapak Ke Phoonk Daley Main Drust Keh Raha Hoon Issay Kuch Sabaq Sekhao

Image
تیری چشمِ ناز مجھ کو نہ لپک کے پھونک ڈالے میں درست کہہ رہا ہوں اسے کچھ سبق سکھاؤ رزبؔ تبریز Teri Chashm e Naaz Mujh Ko Na Lapak Ke Phoonk Daley Main Drust Keh Raha Hoon Issay Kuch Sabaq Sekhao Razab Tabraiz

Hai Aik Tarfa Tamasha Tabiyat e Ushaaq Kabhi Firaq Mein Batein Kabhi Wisal Mein Chup

Image
ھے ایک طرفہ تماشا ، طبیعتِ عُشاق کبھی فراق میں باتیں،کبھی وصال میں چُپ منیر نیازی Hai Aik Tarfa Tamasha Tabiyat e Ushaaq Kabhi Firaq Mein Batein Kabhi Wisal Mein Chup Munir Niazi

Chaman mein ikhtilaat-e-rang-o-bo se baat banti hai ham hi ham hain to kya ham hain tum hi tum ho to kya tum ho

Image
Chaman mein ikhtilaat-e-rang-o-bo se baat banti hai ham hi ham hain to kya ham hain tum hi tum ho to kya tum ho SARSHAR SAILANI

Faasley Aisey Bhi Hongey Yeh Kabhi ,Soacha Na Tha Saamney Baitha Tha Mere , Aur Woh , Mera Na Tha

Image
فاصلے آیسے بھِی ہونگے یِہ کَبھِی سوچا نہ تھَا سامنے بیٹھا تھَا میرے ، آور وُہ میرا نہ تھَا یِہ سَبھِی وِیرانیاں ، اُس کے جُدا ہونے سے تھِیں آنکھ دُھندلائی ہُوئی تھِی ، شِہر دھُندلایا نہ تھَا یاد کَرکے اَور بھِی تَکلیف ہَوتی تھِی ، عدیم اب سوائے بھُول جانے کے کوئی چارہ نہ تھَا Faasley Aisey Bhi Hongey Yeh Kabhi ,Soacha Na Tha Saamney Baitha Tha Mere , Aur Woh , Mera Na Tha Yeh Sabhi Weeraniyaan , Uss Ke Juda Hone Se Thien Aankh Dhundlayi Hui Thi , Shehr Dhudlaya Na Tha Yaad Kar ke Aur Bhi , Takleef Hoti Thi Adeem ! Ab Sawaaye Bhool Jaaney Ke , Koi Chaarah Na Tha

Katti hai jis Ky khiyaloon mein Umar apni munir Maza tou jab hai Kay uss shoukh ko pata hi na ho

Image
کٹی ہے جس کے خیالوں میں عمر اپنی منیر مزا تو جب ہے کہ اُس شوخ کو پتہ ہی نہ ہو منیر نیازی Katti hai jis Ky khiyaloon mein Umar apni munir Maza tou jab hai Kay uss shoukh ko pata hi na ho Munir Niazi  

Aasaan nahin hoti , banjara mizaji Saleeqa bhi chahiye , aawargi ke liye

Image
Aasaan nahin hoti , banjara mizaji Saleeqa bhi chahiye , aawargi ke liye

Aakhri Chand Din December Ke Har Bars Hi Giraan Guzarte Hain

Image
آخری چند دن دسمبر کے   ہر برس ہی گراں گزرتے ہیں Aakhri Chand Din December Ke Har Bars Hi Giraan Guzarte Hain

Meri thakan bhi teri hijraton mein shamil hai Main gard gard sahi, tere karwan mein hoon

Image
Meri thakan bhi teri hijraton mein shamil hai Main gard gard sahi, tere karwan mein hoon

ZARD MOUT Ay Adam Ki Aolaad Suno Tum Jante Ho Kia Hoti Hai Ye Peeli Barf Ye Zard Khizan?

Image
زرد موت اے آدم کی اولاد سنو تم جانتے ہو کیا ہوتی ہے یہ پیلی برف، یہ زرد خزاں؟ جب پتے ٹوٹ کے گرتے ہیں جب درد اڑانیں بهرتا ہے جب غرض کا ٹهیلا لگتا ہے جب دهوپ بکاؤ ہوتی ہے تب چونک کے پیڑ کو تکتے ہیں یہ ننهے منے کاری گر جسے سارا سال سجاتے ہیں یہ سبز پوشاک کی عزت سے جسے سایہ دار بناتے ہیں یہ لا متناہی ہمت سے پر کیا ہوتا ہے سنتے ہو ؟ کہ زرد رتوں کے آتے ہی جب بپتا سر پہ بنتی ہے جب رین سوتیلی ہوتی ہے سب مال متاع اڑ جاتا ہے جب دهول چٹائی ہوتی ہے تب لپٹے پیڑ کے پیروں سے اک آس نگوڑی اٹهتی ہے کہ اپنی نمک حلالی کی شاہکار شجر کے سینے میں کوئی دمڑی، پیسہ، وقعت ہو کوئی سودی بیل پروان چڑهے کوئی ہمدردی کی صحبت ہو وہ ان کی سبز ریاضت کا کوئی ثمر بهرے کوئی مول کرے پر پیڑ کا قصہ کیا کہیے وہ پتهر دور کا پیروکار وہ خود غرضی کا ساہوکار وہ تختِ سنگ لکیر لیے فقیر بنا یہ سوچ کرے "میں کون اکیلا بین کروں مرنے دو مرنے والوں کو دو چار مہینے بیتیں گے پهر دهوپ سے راس رچاؤں گا پهر نئے پجاری آئیں گے میں پهر اوتار کہلاؤں گا رزبؔ تبریز

In tanhayiyon ko Mera muqadar samajh liya Zamane to bade saunk Sun raha tha use Hum hi ro pade

Image
In tanhayiyon ko Mera muqadar samajh liya Zamane to bade saunk Sun raha tha use Hum hi ro pade Jab dil gham se bhar gaya Kisi ki ankh bhi nam nahi hui Aur ek insan mere ander Jane kab se Mar gaya Kabhi fursat se Milo ge To sunayen ge Tumhein kyo kar udhar tha Meri zindagi par main Aaj bahut dino ke baad Apna aks Dekh kar Dil chup sa hi raha magar Ankhein bhar gayin Ji kabhi bhar na paya Yeh aisa lagav hai Hisab Kya doon us ka Jo be-hisab hai Jyoti

Safar e wafa ki rah main, manzil jafa ki thi Kaghaz k ghar bnaa k bhi, khahish hawa ki thi

Image
Safar e wafa ki rah main, manzil jafa ki thi Kaghaz k ghar bnaa k bhi, khahish hawa ki thi Thi jugnuon k shaher main, taron se dushmani Mashooq chaand tha, aur tamana subah ki thi Tum ne to ibadat ka, tamasha bnaa dia Chahat namaz ki thi, par aadat qaza ki thi Man ne to zindagi ko, teray naam likha tha Shaed magar, kuch aur hi marzi khuda ki thi Dard hi dena tha, to pahlay btaa detay Hm ko bhi azal se hi tamana, saza ki thi

Aik khuwab haqeeqat ho Jaye Jo tera saath mayasser ho jaye

Image
Aik khuwab haqeeqat ho Jaye Jo tera saath mayasser ho jaye

In Dino Ta'aluq Thoda Mazboot Rakhna Suna Hai DECEMBER Ke Bichdey Kabhi Nahi Miltay

Image
December In Dino Ta'aluq Thoda Mazboot Rakhna Suna Hai DECEMBER Ke Bichdey Kabhi Nahi Miltay

Mukhtsar sa hai Uska meri zindagi mein safar Ankh khulne se ankh band hone talak

Image
Mukhtsar sa hai Uska meri zindagi mein safar Ankh khulne se ankh band hone talak Jyoti

Yun Di Humein Aazaadi Keh Dunya Hoi Hairaan Ay Quaid e Azam Tera Ihsaan Hai Ihsaan

Image
یوں دی ہمیں آزادی کہ دنیا ہوئی حیران اے قائد اعظم تیرا احسان ہے احسان  Yun Di Humein Aazaadi Keh Dunya Hoi Hairaan Ay Quaid e Azam Tera Ihsaan Hai Ihsaan ہر سمت مسلمانوں پہ چھائی تھی تباہی ملک اپنا تھا اور غیروں کے ہاتھوں میں تھی شاہی Har Simt Musalmano Pe Chhaai Thi Tabahi Mulk Apna Tha Aur Ghairo Ke Haatho Mein Thi Shahi ایسے میں اٹھا دین محمد کا سپاہی اور نعرہء تکبیر سے دی تو نے گواہی Aise Mein Utha Deen e MUHAMMAD Ka Sepahi Aur Na'ara e Takbeer Se Di Tu Ne Gawahi اسلام کا جھنڈا لئے آیا سر میدان اے قائد اعظم تیرا احسان ہے احسان Islam Ka Jhanda Liye Aaya Sar e Maidaan Ay Quaid e Azam Tera Ihsaan Hai Ihsaan دیکھا تھا جو اقبال نے اک خواب سہانا اس خواب کو اک روز حقیقت ہے بنانا Dekha Tha Jo IQBAL Ne Ik Khuwaab Suhana Uss Khuwaab Ko Ik Roz Haqeeqat Hai Banana یہ سوچا جو تو نے ہنسا تجھ پہ زمانہ ہر چال سے چاہا تجھے دشمن نے ہرانا Ye Socha Jo Tu Ne Hansa Tujh Pe Zamana Har Chhaal Se Chaha Tujhe Dushman Ne Harana مارا وہ تو نے داوء ک...

Be-noor o be-asar hai yahan ki sada e saaz Tha us sukoot mein bhi maza , us gali mein chal

Image
بے نور و بے اثر ھے یہاں کی صدائے ساز تھا اُس سکوت میں بھی مزا اس گلی میں چل جالب ! پکارتی ھیں وہ شعلہ نوائیاں یہ سرد رُت - یہ سرد ھوا- اس گلی میں چل حبیب جالب Be-noor o be-asar hai yahan ki sada e saaz Tha us sukoot mein bhi maza , us gali mein chal Jalib ! Pukaarti hain woh shoula-nawaiyan Ye sard rutt , ye sard hawa , us gali mein chal Habib Jalib

Har Aarzoo Faraib hai Har Justujo Saraab Machlay jo Dil bohut Ussay Samjha diya karo

Image
ہر آرزو فــریب ہے ہر جستجـــو ســراب مچلے جو دل بہت اُسے سمجھـا دیا کرو Har Aarzoo Faraib hai Har Justujo Saraab Machlay jo Dil bohut Ussay Samjha diya karo

Hongey Aap shabdon ke baadshah Hum bhi khamoshiyon pe raaj karte hein

Image
Hongey Aap shabdon ke baadshah Hum bhi khamoshiyon pe raaj karte hein

Koi Nahi Mila Aisa Jo Meri Mujh Se Mulaqaat Kara Dey Main Bas Baithi Rahon Younhi Wo Har Rang Mera Mujh Se Mila Dey

Image
Koi Nahi Mila Aisa Jo Meri Mujh Se Mulaqaat Kara Dey Main Bas Baithi Rahon Younhi Wo Har Rang Mera Mujh Se Mila Dey

Jeewan Ki Raahon Mein Ab Yeh Saath Nibhana Mushkil Hai Hum Ne ,Tumm Se Kaise Kaha Tha Ab To Kuch Bhi Yaad Nahi

Image
جِیوَن کی راہوں میں اَب یِہ ساتھ نِبھانا مُشکِل ہَے ہَم نے تُم سے کیسے کَہا تھا،اَب تو کُچھ بھِی یاد نہیں تَرکِ تَعَلُّق کیسے ہُوا تھا، اَب تو کُچھ بھِی یاد نَہِیں دِل نے یِہ صَدمہ کیسے سَہا تھا، اَب تو کُچھ بھِی یاد نہیں Jeewan Ki Raahon Mein Ab Yeh Saath Nibhana Mushkil Hai Hum Ne ,Tumm Se Kaise Kaha Tha Ab To Kuch Bhi Yaad Nahi Tark e Ta'alluq Kaise Hua Tha?Ab To Kuch Bhi Yaad Nahi DIL Ne Yeh Sadma Kaise Saha Tha, Ab To Kuch Bhi Yaad Nahi

Ahista chal Zindagi

Image
Very nice Tribute to the Passing Year 2019  A Poem by Gulzar Ahista chal Zindagi   Abhi kai Qarz Chukana baaki hai Kuch Dard Mitana baaki hai Kuch Farz Nibhana baaki hai Raftaar mein Tere chalne se Kuchh Rooth gaye, Kuch Chhoot gaye Roothon ko Manana baaki hai Rooton ko Hasana baaki hai Kuch Hasraatein abhi Adhori hain Kuch Kaam bhi aur Zaroori hai Khwahishein jo Ghut Gayi is Dil mein Unko Dafnana baaki hai Kuch Rishte Ban kar Toot gaye Kuch Judte Judte Chhoot gaye Un Tootte Chhootte Rishton ke Zakhmon ko Mitana baki hai Tu Aage chal Main aata hoon Kya chhod Tujhe Ji paunga ? In Saanson par Haq hai Jinka Unko Samjhaana baaki hai Aahista chal Zindagi Abhi kai Qarz Chukana baaki hai

Aap Iss Tarah Tou Hosh Udaya Na Kijiye Yun Ban Sanwar Ke Samne Aaya Na Kijiye

Image
آپ اِس طرح تو ہوش اُڑایا نہ کیجیے یُوں بن سنور کے سامنے آیا نہ کیجیے Aap Iss Tarah Tou Hosh Udaya Na Kijiye Yun Ban Sanwar Ke Samne Aaya Na Kijiye یا سر پہ آدمی کو بِٹھایا نہ کیجیے یا پھر نظر سے اُس کو گِرایا نہ کیجیے Ya Sar Pe Aadmi Ko Bethaya Na Kijiye Ya Phir Nazar Se Uss Ko Gira Na Kijiye یُوں مَد بھری نِگاہ اُٹھایا نہ کیجیے پینا حرام ہے تو پلایا نہ کیجیے Yun Mad Bhari Nigaah Uthaya Na Kijiye Peena Haram Hai Tou Pilaya Na Kijiye کہیے تو آپ محو ہیں کس خیال میں ہم سے تو دِل کی بات چُھپایا نہ کیجیے Kahiye Tou Aap Maho Hain Kis Khayaal Mein Hum Se Tou Dil Ki Baat Chopaya Na Kijiye تیغِ سِتم سے جو کام لینا تھا لے چُکے اہلِ وفا کا یُوں تو صفایا نہ کیجیے Tegh e Sitam Se Jo Kaam Laina Tha Le Chuke Ahl e Wafa Ka Yun Tou Safaya Na Kijiye مَیں آپ کا، گھر آپ کا، آئیں ہزار بار لیکن کسی کی بات میں آیا نہ کیجیے Main Aap Ka Ghar Aap Ka Aaein Hazaar Bar Lekin Kisi Ki Baat Mein Aaya Na Kijiye اُٹھ جائیں گے ہم آپ کی محفل سے آپ ہی دُشمن کے رُوبرو تو بِٹھایا ن...

Dard agar aadmi hota to gireban pakarr kar kehte

Image
Dard agar aadmi hota to  gireban pakarr kar kehte iss tarah rehte hain bechain dilon k ander? Iss tarah karye hain bhala kisi majbur k sath? Dil mein rehna hay  to  phir chain se rehna seekho hum tumhen sehte hain kuch tum bhi sehna seekho

Humse nafrat karni hai tou irada mazboot rakhna Zara si bhool hui tou phir se muhabbat ho jayegi

Image
Humse nafrat karni hai tou irada mazboot rakhna Zara si bhool hui tou phir se muhabbat ho jayegi

Khudaya Sta Da Imtehaan Ba Vi Tar Koma Be-Iqbala Musalman Ba Vi Tar Koma

Image
Khudaya Sta Da Imtehaan Ba Vi Tar Koma Be-Iqbala Musalman Ba Vi Tar Koma Musalman Kho Tol Dh Yao Neeku Aolaad Dy Na-Khabara Dh Quran Ba Vi Tar Koma Ph Har Zaai Wa Kor Ph Kor Nafsi Nafsi Da Da Maraz Ph De Jahan Ba Vi Tar Koma Dh Paida Na De Ghareeb Dh Bal Mukhtaj Ku Da Mukhtaj Ph Weer Dh Zaan Ba Vi Tar Koma Spay Khu Na Dy Raba Tu Pre Mehruban She Naast Ph Dar Ke Dh Cha Khan Ba Vi Tar Koma Porta Nasho Sta Naseeb ALI HAIDARA Daam Ke Nkhaty Dh Hijraan Ba Vi Tar Koma Poet:Ali Haidar Joshi Book:Deewaan e Joshi Page:101

Ghareebai Ke Dh Khanda Ghunde Ke Shom Dh Prado Khpalo Juda Ghunde Ke Shom

Image
Ghareebai Ke Dh Khanda Ghunde Ke Shom Dh Prado Khpalo Juda Ghunde Ke Shom Che Zwani Mi Wa Dh Har Sadey Ashna Wom Ph Peerai Ke Na-Ashna Ghunde Ke Shom Khudaya Sa Jwand Dy Che Tol Umar La Gham Vi Khpal Naseeb Ta Ph Jada Ghunda Ke Shom Da Shabaab Dh Umar Qadar Hala Raghay Che Na-Tarso Ta Wedya Ghunda Ke Shom Sang Che Tu Ye Dase Zu Wom Os Ba Tu Shay Ma Ta Gora Waar-Khata Ghunde Ke Shom Paroon Raghlam Nan Daley Saba Ba Bya Zam Musafir La De Dunya Ghunda Ke Shom Khalqa Zu ALI HAIDAR Dh Gham Dh Para La De Khaoro Na Paida Ghuda Ke Shom Poet:Ali Haidar Joshi Book:Deewaan e Joshi Page:100

Sukhanwaron Ka Manshor Hai Muhabbat Hum Ahl e Dil Hain Hamara Dastor Hai Muhabbat

Image
سخن واروں کا منشور ہے محبت ہم اہلِ دل ہیں ہمارا دستور ہے محبت تم مکر گئے اسی لیے بے گناہ ٹھہرے ہم نے کی تھی ہمارا قصور ہے محبت کیا کہا آنکھ کھلتے ہی یاد آتے ہیں پھر تو آپ کو ہم سے ضرور ہے محبت ہماری آنکھ کی نمی پر مت جائیں صاحب ہم ہجر والے ہیں ہمارا تو غرور ہے محبت جسکی تپش میں جلتے ہیں روح و بدن گویا ہر پل ایک تپتا ہوا تندور ہے محبت کبھی کھائے پتھر تو کبھی چڑھی سولی کبھی قیس تو کبھی بنی منصور ہے محبت نازیہ رشید تارڑ

Mita Do Ranjeshein , Aaghaaz Kar Ke Dekhtay Hain Aao Koi Aaj Nayi Baat Kar Ke Dekhtay Hain

Image
مٹا دو رنجیشیں،آغاز کرکے دیکھتے ہیں آؤ کوئی آج نئی بات کرکے دیکھتے ہیں اڑان اونچی تھی مگر ہاتھ کچھ نہیں آیا ذرا نیچی بھی ہم پرواز کرکے دیکھتے ہیں (افیؔ ) Mita Do Ranjeshein , Aaghaaz Kar Ke Dekhtay Hain Aao Koi Aaj Nayi Baat Kar Ke Dekhtay Hain Uddan Onchi Thi Magar Haath Kuch Na Aaya Zara Neechi Bhi Hum Parwaaz Kar Ke Dekhtay Hain (Iffi)

Kai Sadiyan Guzari Hain To Bheegi Hain Masain Iski Zamane Me DECEMBER Ne Kia Umar e Nooh Paai Hai

Image
کئی صدیاں گزاری ہیں تو بهیگی ہیں مَسیـں اس کی زمانے میــں دسمبر نے کیا عمرِ نُـوح پائـی ہے رزبؔ تبریز Kai Sadiyan Guzari Hain To Bheegi Hain Masain Iski Zamane Me DECEMBER Ne Kia Umar e Nooh Paai Hai Razab Tabraiz