Ahista chal Zindagi



Very nice Tribute to the Passing Year 2019
 A Poem by Gulzar
Ahista chal Zindagi
 
Abhi kai Qarz Chukana baaki hai
Kuch Dard Mitana baaki hai
Kuch Farz Nibhana baaki hai
Raftaar mein Tere chalne se
Kuchh Rooth gaye, Kuch Chhoot gaye
Roothon ko Manana baaki hai
Rooton ko Hasana baaki hai
Kuch Hasraatein abhi Adhori hain
Kuch Kaam bhi aur Zaroori hai
Khwahishein jo Ghut Gayi is Dil mein
Unko Dafnana baaki hai
Kuch Rishte Ban kar Toot gaye
Kuch Judte Judte Chhoot gaye
Un Tootte Chhootte Rishton ke
Zakhmon ko Mitana baki hai
Tu Aage chal Main aata hoon
Kya chhod Tujhe Ji paunga ?
In Saanson par Haq hai Jinka
Unko Samjhaana baaki hai
Aahista chal Zindagi
Abhi kai Qarz Chukana baaki hai

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo