Naya saal aaya naya saal aaya umeedon ka dil mein diya jagmagaya







Naya saal aaya naya saal aaya
umeedon ka dil mein diya jagmagaya

naye saal ka ham ko paigham kya hai
naye saal mein ab naya kaam kya hai 

purana tareeqa badalna hai ham ko
taraqqi ki rahon pe chalna hai ham ko 

andhere ke daman ko ham chaak kar dein
watan ki fazaon ko noor-e-sahar dein 

sunen dard-mandon ki fariyad kya hai
ghareebon pe dar-asl uftad kya hai 

uthen aur dukhiyon ka dukh door kar dein
masarrat se har dil ko ma'amoor kar dein

nayi raushni se faza jagmagayen
naye saaz par ab naye geet gaayen

Syeda Farhat

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai