Jo baat kehte darte hain sab, tuu woh baat likh Itani andheri raat na kabhi pahley raat, likh
इतनी अंधेरी थी ना कभी पहले रात, लिख
Jo baat kehte darte hain sab, tuu woh baat likh
Itani andheri raat na kabhi pahley raat, likh
जिनसे क़सीदे लिखे थे, वो फेंक दे क़लम
फिर खून-ए-दिल से सच्चे कलाम की सिफ़त लिख
Jin se qaseede likhey thay, woh phaink de qalam
Phir khoon e dil se sacchey kalaam ki sift likh
जो रोज़नामचे में कहीं पाती नहीं जगह
जो रोज़ हर जगह की है, वो वारदात लिख
Jo roz-naanchey mein kahin paati nahi jageh
Jo roz har jageh ki hai, woh waardaat likh
जितने भी तंग दायरे हैं सारे तोड़ दे
अब आ खुली फिज़ाओं में, अब कायनात लिख
Jitney bhi tang daayare hain saarey tod de
Abb aa khuli fizaaon mein, abb kaaynaat likh
जो वाक़यात हो गए उनका तो जिक्र है
लेकिन जो होने चाहिए, वो वाक़यात लिख
Jo waaqyaat ho gaye unn ka tau zikr hai
Lekin jo honay chaahiye, woh waaqyaat likh
इस जगह में जो देखनी है तुझ को फिर बहार
तू डाल-डाल दे सदा, तू पात-पात लिख
Iss jageh mein jo dekhni hai tujh ko phir bahaar
Tuu daal-daal de sadaa, tuu paat paat likh
Javed Akhtar
Comments
Post a Comment