Ambar Kahe Khusboo Se Azan , EID MUBARAK EID Aa Gai Aey Jaan e Jahan , EID MUBARAK


 

عنبر کہے خوشبو سے اَذاں ، عید مبارَک
عید آ گئی اے جانِ جہاں ، عید مبارَک

Ambar Kahe Khusboo Se Azan , EID MUBARAK

EID Aa Gai Aey Jaan e Jahan , EID MUBARAK


یاقوت لبوں پر ترے قربان شگوفے
چندا ترے ہنسنے کا نشاں ، عید مبارَک

Yaqoot Labon Par Tere Qurban Shagofay

Chanda Tere Hansnay Ka Nishan , EID MUBARAK


دیدار جنہیں تیرا ملے اُن کو بھی تبریک
جو تجھ کو جہاں دیکھے ، وَہاں عید مبارَک

Deedaar Jinhein Tera Milay Unko Bhi Tabreek

Jo Tujh Ko Jahan Dekhay , Wahan EID MUBARAK


ملنے کو تجھے صف میں کھڑے ہوں سرِ دَربار
ملکائیں ، شہنشاہِ زَماں ، عید مبارَک

Milnay Ko Tujhe Saff Mein Khare Hoon Sar e Darbar

Malkaaein , Shahinshah e Zamaan , EID MUBARAK


بوسوں کی ترے رُخ کے ملے تتلی کو عیدی
ہر سمت ہو خوشیوں کا سماں ، عید مبارَک

Boson Ki Tere Rukh Ke Milay Titli Ko EIDI

Har Simt Ho Khushion Ka Samaan , EID MUBARAK


اَللہ مری ساری خوشی بھیج دے تجھ کو
غم بھیجے ترے سارے یہاں ، عید مبارَک

ALLAH Meri Sari Khushi Bhaij Day Tujh Ko

Gham Bhaijay Tere Sare Yahan , EID MUBARAK


راتیں تری تاباں رہیں ، دِن نورِ دَرخشاں
خوشبو ہو تری اور جواں ، عید مبارَک

Raatein Teri Taabaan Rahein , Noor e Darakhshaan

Khushbo Ho Teri Aur Jawaan , EID MUBARAK


کشمش ہو دَہَن میں تو لب اَنگور کو چومیں
منہ میٹھا ہو ، نمکین زَباں ، عید مبارَک

Kishmish Ho Dahan Mein Tou Lab Angoor Ko Choosein

Munh Meetha Ho , Namkeen Zubaan , EID MUBARAK


ہر پل ترا عشرت کدے میں شان سے گزرے
غنچوں سا ہنسے ، غنچہ دَہاں ، عید مبارک

Har Pal Tera Ishrat-Kaday Mein Shaan Se Guzray

Ghunchon Sa Hansay ,Ghuncha Zubaan , EID MUBARAK


وُہ جوڑیں گے ہر شعر کے کب پہلے حرف کو 

کر دیتے ہیں قیس اِن میں نہاں عید مبارَک

Woh Chorengy Har Shair Ke Kab Pehle Harf Ko

Kar Daitay Hein QAIS In Mein Nihan , EID MUBARAK

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha